SANAM – Gulabi Aankhen Lyrics

Lyrics By No Information

O..

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya
Sambhalo mujhko o mere yaaron
Sambhalna mushqil ho gaya..

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya..

Dil mein mere khwaab tere
Tasveer jaise ho deewar pe
Tujhpe fidaa main kyun hua
Aata hai gussa mujhe pyar pe..

Main lut gaya
Maan ke dil ka kaha
Main kahin ka na raha
Kya kahu main dilruba..

Bura ye jaadu
Teri aankhon ka
Ye mera qaatil ho gaya..

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya..

Maine sada chaha yahi
Daaman bacha lu haseeno se main
Teri kasam khwabon mein bhi
Bachta firaa naazneeno se main..

Tauba magar
Mill gayi tujhse nazar
Mill gaya dard-e-jigar
Sun zara oh bekhabar..

Zara sa hans ke jo dekha tune
Main tera bismil ho gaya..

Gulabi aankhen jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya
Sambhalo mujhko o mere yaaron
Sambhalna mushqil ho gaya..

O..

ONE DREAM

Comments

comments!


Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *