Banjaara | Ek Villain | Mohd. Irfan

Lyrics By No Information

Jise zindagi dhundh rahi hei
Kya ye woh makaam mera hei
Yahaan chein se bas ruk jaaun
Kyun dil ye mujhe kehta hei
Jazbaat naye se mile hein
Jaane kya asar ye huaa hei
Ik aas mili phir mujhko
Jo qubul kisi ne kiya heiHaan..
Kisi shaayar ki ghazal
Jo de ruh ko sukun ke pal
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaare ko ghar
Hmm…

Jese koi kinaara
Deta ho sahaara
Mujhe wo mila kisi mod par
Koi raat ka taara
Karta ho ujaala
Waise hi roshan kare woh shehar

Dard mere woh bhula hi gayaa
Kuch aisa asar huaa
Jeena mujhe phir se woh sikha raha
Hmm.. Jese baarish kar de tar
Yaa marham dard par
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaare ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaare ko ghar

Muskaata yeh chehra
Deta hei jo pehraa
Jaane chhupata kya dil ka samandar
Auron ko toh hardam saaya deta hei
Woh dhup mein hei khada khud magar
Chot lagi hei usey,
Phir kyun mehsus mujhe ho raha hei
Dil tu bata de kya hei iraada tera

Main parinda besabar
Tha uda jo darbadar
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaarey ko ghar
Naye mausam ki sehar
Yaa sard mein dopahar
Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaarey ko ghar

Koi mujhko yun mila hei
Jese banjaare ko ghar
Jese banjaare ko ghar..
Jese banjaare ko ghar…
Jese banjaare ko ghar….

ban

 

 

Comments

comments!

Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *