Zindagi Kuch To Bata | Bajrangi Bhaijaan | Jubin Nautiyal, Pritam

Lyrics By No Information

Ek din mohabbat odh kar
Ek din gali ke mod par
Teri hatheli par likhun mera naam tere naam par
Phir tu taqalluf chhod kar
Phir tu jhuka kar ke nazar
Rakhna mere kaandhey pe sar
Zindagi…

Kuch to bata zindagi
Apna pataa zindagi..
Kuch toh bataa zindagi
Apna pataa zindagi..

Taaron bhari ek raat mein
Tere khat padhenge saath mein
Kora jo panna reh gaya
Ek kaanpte se haath mein
Thodi shiqaayat karna tu
Thodi shiqayat main karun
Naraaz bas na hona tu,
Zindagi…

Kuch to bata zindagi
Apna pataa zindagi..
Kuch toh bataa zindagi
Apna pataa zindagi..

Tu hai to main hun
Tu hai to main hun
Tu hai to main hun
Tu hai to Khuda
Tu hai to Rab
Tu hai toh falak
Tu hai toh zameen (Repeats..)

(Video Version)
Wahin main hun, jahaan tum ho
Jahaan dekhun wahaan tum ho
Mohabbat ki zubaan tum ho
Mere dil ki duaa tum ho
Labon pe haan wafaa tum ho
Nazaara tum fiza tum ho
Tasalli ka samaa tum ho
Sukun dil ka shifa tum ho

Oho..

Zindagi Kuch To Bata

Comments

comments!


Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *