Sooraj Hai Kahaan | Ugly | G. V. Prakash Kumar

Lyrics By No Information

Suraj hei kahaan, sir mein aag re
Naagin titliyaan, ab chal bhaag re
Meri aankh mein loha hei kya,
Meri rotiyon mein kaanch hei
Gin mere ungliyaan kya poori paanch hei
Yeh meri bandook dekho, yeh mera sandook hei
Ghaas jung, jism paani, koyla meri bhook hei
Chowk mera, gali meri, naukri, batti meri
Dhooll dardi, sauna raddi, dhoop aur sardi meri
Meri parking hei ya meri seat hei
Tera matha hei yeh meri eent heiMeri mitti se meri mitti tak, aa rahein hein jo
Saari railon se, rang sirfire riwaazon se,
Meri boli se, mere melon se
Keelein chubhti hei, jheelein dikhti hei
Lakdiyaan geeli nahi hei, tel hei, teeli yahin hei

Mera jhanda tareeka, mera sach sahi
Gar koi awaaz utthi, gaad doonga main yahi
Main yahaan pehle khada tha, hei gehra maidaan
Aazmaale laathiyon pe, ya tera
Yeh kitaabein ek paanp hei, ve log saare saanp hei
Jahaan latke hamamon mein, morality ki bhaap hei
Main bataaunga tujhe toh, jeans pehne kitne tang
Kaunsi building mein tu reh sakti hei kab kiske sang
Raat ke kitne baje, kaise chale, kisse mile
Kab palat kar maar de, kab chup rahe, kab kab chale
Hei yeh valentine kyun, tu ne pee wine kyun
Tere pub se, uske rabb se, mujhko problem hei sabse

Humnein unko khoob dhoya, jo rooyi se log the
Ban gaye unke gubbare, jo suyi se log the
Jiski chaadar hum se choti, uski chaadar cheen li
Jiski chath pe chadh gaye hum, usko seedhi tod di
Istihaaron mein khushi hei, aur ghar aata nahi
De mera chaaku mera, maa kab se kuch kaata nahi
Bacche khelte the jahaan pichle june mein
Ab baste dikhte wahaan bheege khun mein

Pad rahi thi, ek bacchi, sadak par, bheedh thi
Sabka na koyi darr, tha zarrori,
Sab ne mar di, chodh di.

11

Comments

comments!

Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *