Mohabbat Yeh | Ishqedarriyaan | Bilal Saeed

Lyrics By No Information

Aankh hai abhi namm zara si
Zindagi dhundhey wajah si re..
Ehsas wo phir tera gham bhar de
Jab mujhe tu tanha sa kar de re..

Mere lafz tu hi, jaan bhi
Mera ishq pe imaan bhi
Sajde kare insaan hi
Dikhey tujhme phir jahaan bhi
Jitna bhulaaye utna rulaaye
Huve tum paraye jo
Ab jo bhi chaahey jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Aansuon ko mile na koi wajah khushi ki
Dard hai ke ye dil se jaata hi nahi
Ake thehra hai mere sine me tera gham is tarah
Phul sehra me koi khilta hai sawan ka jis tarah
Lagte hain saare apne paraye
Dil chot khaaye toh
Ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Lamha lamha huaa hai mujhse yun ajnabi
Jaise ki zindagi mein zindagi hi nahi
Namm hai yeh aankh, gum hai alfaaz
Khamosh hai zubaan
Chod aaya main dhadkano ko
Tha tune chhoda jahaan
Jiske liye ho sapne sajaaye
Wohi tod jaaye toh
Ab jo bhi chahey jitna bhi chahey
Phir bhi rulaaye woh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh
Mohabbat yeh.. ho jaaye toh..

Mohabbat Yeh

Comments

comments!


Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *