Khuda Bhi | Ek Paheli Leela | Mohit Chauhan

Lyrics By No Information

Khuda bhi jab tumhey mere paas dekhta hoga
Khuda bhi jab tumhey mere paas dekhta hoga
Itni anmol chiz de di kaise, sochta hoga!
Tu be-misaal hai, teri kya misaal doon
Aasman se aayi hai, yehi keh ke taal doon
Phir bhi koi jo puchey, kya hai tu kaisi hai
Hathon me rang lekey, hawaa me uchaal doon
(hawaa mein uchhal doon..)

Khuda bhi jab tumhey mere paas dekhta hoga
Itni anmol chiz de di kaisey, sochta hoga!

Jo bhi zameen tere paaon tale aaye
Kadmon se chukey woh aasmaan ho jaaye
Tere aage pheeke phike saare shringar hai
Main toh kya farishte bhi tujhpe nissar hain
Garmi ki shaam hai tu, jaadon ki dhoop hai
Jitne bhi mausam hain, tere karzdaar hain
(tere karzdaar hain..)

Khuda bhi jab tere andaaz dekhta hoga
Itni anmol cheej de di kaise, sochta hoga!

Chehra hai ya jaadu, rup hai ya khwab hai
Ankhein hain ya afsaana, jism ya kitaab hai
Aaja tujhe main padh loon, dil mein utaar loon
Hothon se dekhun tujhe, aankhon se pukar loon
Khwahishein ye kehti hain, kehti rehti hain
Lekey tujhey baahon mein shamein guzaar loon
(shamein guzaar lun..)

Khuda bhi ab tujhe din raat dhundta hoga
Itni anmol cheej de di kaisey, sochta hoga!

Khuda Bhi

Comments

comments!


Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *