Kya Pataa | Drishyam | Arijit Singh

Lyrics By No Information

Khamosh rehne mein dum ghutta hai
Aur bolne se zabaan chhilti hai
Darr lagta hai nange paaon mujhe
Koi kabr paaon tale hilti hai
Paresaan hun zindagi se

Kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi
Kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi
Bas ke main zindagi se darta hun
Bas ke main zindagi se darta hun
Maut ka kya hai..
Ek baar maaregi..

Dhul udne lagti hai jab shaam ki
Sab kaanch bhar jaate hain gard se
Main darta hun
Main darta hun
Dil jab dhadakne se thakne lage
Neend aane lagti hai tab dard se
Anjaan hun zindagi se

Kya pata kab kahaan se maaregi zindagi
Kya pata kab kahaan se maaregi zindagi
Bas ke main zindagi se darta hun
Bas ke main zindagi se darta hun
Maut ka kya hai..
Ek baar maaregi..

Kya Pataa

Comments

comments!


Added by

ilyrics

SHARE

Your email address will not be published. Required fields are marked *